tujh se bichroon to tiri zaat ka hissa ho jaaun | तुझ से बिछड़ूँ तो तिरी ज़ात का हिस्सा हो जाऊँ

  - Ahmad Kamal Parvazi

tujh se bichroon to tiri zaat ka hissa ho jaaun
jis se marta hoon usi zahar se achha ho jaaun

tum mere saath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhooth na boluun to akela ho jaaun

main tiri qaid ko tasleem to karta hoon magar
ye mere bas mein nahin hai ki parinda ho jaaun

aadmi ban ke bhatkne mein maza aata hai
main ne socha hi nahin tha ki farishta ho jaaun

vo to andar ki udaasi ne bachaaya warna
un ki marzi to yahi thi ki shagufta ho jaaun

तुझ से बिछड़ूँ तो तिरी ज़ात का हिस्सा हो जाऊँ
जिस से मरता हूँ उसी ज़हर से अच्छा हो जाऊँ

तुम मिरे साथ हो ये सच तो नहीं है लेकिन
मैं अगर झूट न बोलूँ तो अकेला हो जाऊँ

मैं तिरी क़ैद को तस्लीम तो करता हूँ मगर
ये मिरे बस में नहीं है कि परिंदा हो जाऊँ

आदमी बन के भटकने में मज़ा आता है
मैं ने सोचा ही नहीं था कि फ़रिश्ता हो जाऊँ

वो तो अंदर की उदासी ने बचाया वर्ना
उन की मर्ज़ी तो यही थी कि शगुफ़्ता हो जाऊँ

  - Ahmad Kamal Parvazi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parvazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari