tamaam bheed se aage nikal ke dekhte hain | तमाम भीड़ से आगे निकल के देखते हैं

  - Ahmad Kamal Parvazi

tamaam bheed se aage nikal ke dekhte hain
tamaash-been vo chehra uchhal ke dekhte hain

nazaakaton ka ye aalam ki roo-numaai ki rasm
gulaab baagh se baahar nikal ke dekhte hain

tu la-jawaab hai sab ittifaq rakhte hain
magar ye shehar ke faanoos jal ke dekhte hain

ise main apne shabistaan mein choo ke dekhta hoon
vo chaand jis ko samundar uchhal ke dekhte hain

jo kho gaya hai kahi zindagi ke mele mein
kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain

jo roz daaman-e-sad-chaak seete rahte hain
tumhein vo eed pe kapde badal ke dekhte hain

तमाम भीड़ से आगे निकल के देखते हैं
तमाश-बीन वो चेहरा उछल के देखते हैं

नज़ाकतों का ये आलम कि रू-नुमाई की रस्म
गुलाब बाग़ से बाहर निकल के देखते हैं

तू ला-जवाब है सब इत्तिफ़ाक़ रखते हैं
मगर ये शहर के फ़ानूस जल के देखते हैं

इसे मैं अपने शबिस्ताँ में छू के देखता हूँ
वो चाँद जिस को समुंदर उछल के देखते हैं

जो खो गया है कहीं ज़िंदगी के मेले में
कभी कभी उसे आँसू निकल के देखते हैं

जो रोज़ दामन-ए-सद-चाक सीते रहते हैं
तुम्हें वो ईद पे कपड़े बदल के देखते हैं

  - Ahmad Kamal Parvazi

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parvazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari