raushni saans hi le le to thehar jaata hoon
ek jugnoo bhi chamak jaaye to dar jaata hoon
meri aadat mujhe paagal nahin hone deti
log to ab bhi samjhte hain ki ghar jaata hoon
main ne is shehar mein vo thokren khaai hain ki ab
aankh bhi moond ke guzroon to guzar jaata hoon
is liye bhi mera ezaaz pe haq banta hai
sar jhukaaye hue jaata hoon jidhar jaata hoon
is qadar aap ke badle hue tevar hain ki main
apni hi cheez uthaate hue dar jaata hoon
रौशनी साँस ही ले ले तो ठहर जाता हूँ
एक जुगनू भी चमक जाए तो डर जाता हूँ
मिरी आदत मुझे पागल नहीं होने देती
लोग तो अब भी समझते हैं कि घर जाता हूँ
मैं ने इस शहर में वो ठोकरें खाई हैं कि अब
आँख भी मूँद के गुज़रूँ तो गुज़र जाता हूँ
इस लिए भी मिरा एज़ाज़ पे हक़ बनता है
सर झुकाए हुए जाता हूँ जिधर जाता हूँ
इस क़दर आप के बदले हुए तेवर हैं कि मैं
अपनी ही चीज़ उठाते हुए डर जाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi
our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi
As you were reading Aadat Shayari Shayari