shaam ke b'ad sitaaron ko sambhalne na diya
raat ko rok liya chaand ko dhalne na diya
mauj-e-baatin kabhi auqaat se baahar na gai
had ke andar bhi kisi shay ko machalne na diya
aag to chaaron hi jaanib thi par achha ye hai
hosh-mandi se kisi cheez ko jalne na diya
ab ke mukhtar ne muhtaaj ki deewaar ka qad
jitna maamool hai utna bhi nikalne na diya
jin buzurgon ki viraasat ke ameen hain ham log
un ki qabron ne kabhi shehar badlne na diya
शाम के ब'अद सितारों को सँभलने न दिया
रात को रोक लिया चाँद को ढलने न दिया
मौज-ए-बातिन कभी औक़ात से बाहर न गई
हद के अंदर भी किसी शय को मचलने न दिया
आग तो चारों ही जानिब थी पर अच्छा ये है
होश-मंदी से किसी चीज़ को जलने न दिया
अब के मुख़्तार ने मुहताज की दीवार का क़द
जितना मामूल है उतना भी निकलने न दिया
जिन बुज़ुर्गों की विरासत के अमीं हैं हम लोग
उन की क़ब्रों ने कभी शहर बदलने न दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi
our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi
As you were reading Shama Shayari Shayari