ye garm ret ye sehra nibha ke chalna hai
safar taveel hai paani bacha ke chalna hai
bas is khayal se ghabra ke chhat gaye sab log
ye shart thi ki qataarein bana ke chalna hai
vo aaye aur zameen raund kar chale bhi gaye
hamein bhi apna khasaara bhula ke chalna hai
kuchh aise farz bhi zimme hain zimme-daaron par
jinhen hamaare dilon ko dukha ke chalna hai
shanaasa zehnon pe taane asar nahin karte
tu ajnabi hai tujhe zahar kha ke chalna hai
vo deeda-war ho ki shaayar ki maskhara koi
yahan sabhi ko tamasha dikha ke chalna hai
vo apne husn ki khairaat dene waale hain
tamaam jism ko qaasa bana ke chalna hai
ये गर्म रेत ये सहरा निभा के चलना है
सफ़र तवील है पानी बचा के चलना है
बस इस ख़याल से घबरा के छट गए सब लोग
ये शर्त थी कि क़तारें बना के चलना है
वो आए और ज़मीं रौंद कर चले भी गए
हमें भी अपना ख़सारा भुला के चलना है
कुछ ऐसे फ़र्ज़ भी ज़िम्मे हैं ज़िम्मे-दारों पर
जिन्हें हमारे दिलों को दुखा के चलना है
शनासा ज़ेहनों पे ताने असर नहीं करते
तू अजनबी है तुझे ज़हर खा के चलना है
वो दीदा-वर हो कि शाएर कि मसख़रा कोई
यहाँ सभी को तमाशा दिखा के चलना है
वो अपने हुस्न की ख़ैरात देने वाले हैं
तमाम जिस्म को कासा बना के चलना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi
our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari