kanware aansuon se raat ghaayel hoti rahti hai | कँवारे आँसुओं से रात घाएल होती रहती है

  - Ahmad Kamal Parvazi

kanware aansuon se raat ghaayel hoti rahti hai
sitaare jhadte rahte hain rehersal hoti rahti hai

siyaasi maskh kar ke tum to dilli laut jaate ho
yahan sahme hue logon mein halchal hoti rahti hai

wahan rakhe hue mohre barabar marte rahte hain
idhar kheli hui baazi mukammal hoti rahti hai

main sab kuchh bhool ke jaane ki koshish karta rehta hoon
magar guzri hui vo raat paagal hoti rahti hai

na jaane kya kharaabi aa gai hai mere lehje mein
na jaane kyun meri awaaz bojhal hoti rahti hai

कँवारे आँसुओं से रात घाएल होती रहती है
सितारे झड़ते रहते हैं रेहरसल होती रहती है

सियासी मश्क़ कर के तुम तो दिल्ली लौट जाते हो
यहाँ सहमे हुए लोगों में हलचल होती रहती है

वहाँ रक्खे हुए मोहरे बराबर मरते रहते हैं
इधर खेली हुई बाज़ी मुकम्मल होती रहती है

मैं सब कुछ भूल के जाने की कोशिश करता रहता हूँ
मगर गुज़री हुई वो रात पागल होती रहती है

न जाने क्या ख़राबी आ गई है मेरे लहजे में
न जाने क्यूँ मिरी आवाज़ बोझल होती रहती है

  - Ahmad Kamal Parvazi

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parvazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari