har ek rang dhanak ki misaal aisa tha | हर एक रंग धनक की मिसाल ऐसा था

  - Ahmad Khayal

har ek rang dhanak ki misaal aisa tha
shab-e-visaal tumhaara jamaal aisa tha

hawa ke haath pe chaale hain aaj tak maujood
mere charaagh ki lau mein kamaal aisa tha

main chal pada hoon andhere ki ungaliyaan thaame
utarti shaam ke rukh ka jamaal aisa tha

zara si der bhi thehra nahin hoon maujon mein
samay ke bahar mein ab ke uchaal aisa tha

vo sar uthaaye yahan se palat gaya ahmad
main sar jhukaaye khada hoon sawaal aisa tha

हर एक रंग धनक की मिसाल ऐसा था
शब-ए-विसाल तुम्हारा जमाल ऐसा था

हवा के हाथ पे छाले हैं आज तक मौजूद
मिरे चराग़ की लौ में कमाल ऐसा था

मैं चल पड़ा हूँ अंधेरे की उँगलियाँ थामे
उतरती शाम के रुख़ का जमाल ऐसा था

ज़रा सी देर भी ठहरा नहीं हूँ मौजों में
समय के बहर में अब के उछाल ऐसा था

वो सर उठाए यहाँ से पलट गया 'अहमद'
मैं सर झुकाए खड़ा हूँ सवाल ऐसा था

  - Ahmad Khayal

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari