udhar se aaye to phir laut kar nahin gaye ham
pukaarti rahi duniya magar nahin gaye ham
agarche khaak hamaari bahut hui paamaal
ba-rang-e-naqsh-e-kaf-e-paa ubhar nahin gaye ham
husool kuchh na hua juz ghubaar-e-hairaani
kahaan kahaan tiri awaaz par nahin gaye ham
manaa rahe the wahan log jashn-e-be-khwaabi
yahan the khwaab bahut so udhar nahin gaye ham
chadha hua tha vo dariya agar hamaare liye
to dekhte hi rahe kyun utar nahin gaye ham
उधर से आए तो फिर लौट कर नहीं गए हम
पुकारती रही दुनिया मगर नहीं गए हम
अगरचे ख़ाक हमारी बहुत हुई पामाल
ब-रंग-ए-नक़्श-ए-कफ़-ए-पा उभर नहीं गए हम
हुसूल कुछ न हुआ जुज़ ग़ुबार-ए-हैरानी
कहाँ कहाँ तिरी आवाज़ पर नहीं गए हम
मना रहे थे वहाँ लोग जश्न-ए-बे-ख़्वाबी
यहाँ थे ख़्वाब बहुत सो उधर नहीं गए हम
चढ़ा हुआ था वो दरिया अगर हमारे लिए
तो देखते ही रहे क्यूँ उतर नहीं गए हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz
our suggestion based on Ahmad Mahfuz
As you were reading Samundar Shayari Shayari