shaam-e-gham yaad hai kab sham'a jali yaad nahin
kab vo ruksat hue kab raat dhali yaad nahin
dil se bahte hue paani ki sada guzri thi
kab dhundlaka hua kab naav chali yaad nahin
thande mausam mein pukaara koi ham aate hain
jis mein ham khel rahe the vo gali yaad nahin
in mazaafat mein chhup chhup ke hawa chalti thi
kaise khilti thi mohabbat ki kali yaad nahin
jism-o-jaan doob gaye khwaab-e-faramoshi mein
ab koi baat buri ho ki bhali yaad nahin
शाम-ए-ग़म याद है कब शम्अ' जली याद नहीं
कब वो रुख़्सत हुए कब रात ढली याद नहीं
दिल से बहते हुए पानी की सदा गुज़री थी
कब धुँदलका हुआ कब नाव चली याद नहीं
ठंडे मौसम में पुकारा कोई हम आते हैं
जिस में हम खेल रहे थे वो गली याद नहीं
इन मज़ाफ़ात में छुप छुप के हवा चलती थी
कैसे खिलती थी मोहब्बत की कली याद नहीं
जिस्म-ओ-जाँ डूब गए ख़्वाब-ए-फ़रामोशी में
अब कोई बात बुरी हो कि भली याद नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Good night Shayari Shayari