ye tanhaa raat ye gahri fazaayein
use dhunden ki us ko bhool jaayen
khayaalon ki ghani khaamoshiyon mein
ghuli jaati hain lafzon ki sadaaein
ye raaste raharvon se bhaagte hain
yahan chhup chhup ke chalti hain hawaaein
ye paani khaamoshi se bah raha hai
ise dekhen ki is mein doob jaayen
jo gham jalte hain sher'on ki chitaa mein
unhen phir apne seene se lagaayein
chalo aisa makaan aabaad kar len
jahaan logon ki aawaazen na aayein
ye paani khaamoshi se bah raha hai
ise dekhen ki is mein doob jaayen
jo gham jalte hain sher'on ki chitaa mein
unhen phir apne seene se lagaayein
chalo aisa makaan aabaad kar len
jahaan logon ki aawaazen na aayein
ये तन्हा रात ये गहरी फ़ज़ाएँ
उसे ढूँडें कि उस को भूल जाएँ
ख़यालों की घनी ख़ामोशियों में
घुली जाती हैं लफ़्ज़ों की सदाएँ
ये रस्ते रहरवों से भागते हैं
यहाँ छुप छुप के चलती हैं हवाएँ
ये पानी ख़ामुशी से बह रहा है
इसे देखें कि इस में डूब जाएँ
जो ग़म जलते हैं शे'रों की चिता में
उन्हें फिर अपने सीने से लगाएँ
चलो ऐसा मकाँ आबाद कर लें
जहाँ लोगों की आवाज़ें न आएँ
ये पानी ख़ामुशी से बह रहा है
इसे देखें कि इस में डूब जाएँ
जो ग़म जलते हैं शे'रों की चिता में
उन्हें फिर अपने सीने से लगाएँ
चलो ऐसा मकाँ आबाद कर लें
जहाँ लोगों की आवाज़ें न आएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Raat Shayari Shayari