ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie | अब न बहल सकेगा दिल अब न दिए जलाइए

  - Ahmad Mushtaq

ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie
ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie

us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke
main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie

kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaan
main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye

kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka
sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye

koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh mein
ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie

अब न बहल सकेगा दिल अब न दिए जलाइए
इश्क़-ओ-हवस हैं सब फ़रेब आप से क्या छुपाइए

उस ने कहा कि याद हैं रंग तुलू-ए-इश्क़ के
मैं ने कहा कि छोड़िए अब उन्हें भूल जाइए

कैसे नफ़ीस थे मकाँ साफ़ था कितना आसमाँ
मैं ने कहा कि वो समाँ आज कहाँ से लाइए

कुछ तो सुराग़ मिल सके मौसम-ए-दर्द-ए-हिज्र का
संग-ए-जमाल-ए-यार पर नक़्श कोई बनाइए

कोई शरर नहीं बचा पिछले बरस की राख में
हम-नफ़्सान-ए-शो'ला-ख़ू आग नई जलाइए

  - Ahmad Mushtaq

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari