hamein sab ahl-e-hawas na-pasand rakhte hain
ki ham nawa-e-mohabbat buland rakhte hain
isee liye to khafa hain sitam-shiaar ki ham
nigaah-e-narm o dil-e-dardmand rakhte hain
agarche dil wahi rajat-pasand hai apna
magar zabaan tarqqi-pasand rakhte hain
ham aise arsh-nashinoon se vo darakht achhe
jo aandhiyon mein bhi sar ko buland rakhte hain
chale ho dekhne mushtaaq jin ko pichhli raat
vo log shaam se darwaaza band rakhte hain
हमें सब अहल-ए-हवस ना-पसंद रखते हैं
कि हम नवा-ए-मोहब्बत बुलंद रखते हैं
इसी लिए तो ख़फ़ा हैं सितम-शिआर कि हम
निगाह-ए-नर्म ओ दिल-ए-दर्दमंद रखते हैं
अगरचे दिल वही रजअत-पसंद है अपना
मगर ज़बान तरक़्क़ी-पसंद रखते हैं
हम ऐसे अर्श-नशीनों से वो दरख़्त अच्छे
जो आँधियों में भी सर को बुलंद रखते हैं
चले हो देखने 'मुश्ताक़' जिन को पिछली रात
वो लोग शाम से दरवाज़ा बंद रखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Shajar Shayari Shayari