khade hain dil mein jo barg-o-samar lagaaye hue
tumhaare haath ke hain ye shajar lagaaye hue
bahut udaas ho tum aur main bhi baitha hoon
gaye dinon ki kamar se kamar lagaaye hue
abhi sipaah-e-sitam khema-zan hai chaar taraf
abhi pade raho zanjeer-e-dar lagaaye hue
kahaan kahaan na gaye aalam-e-khayaal mein ham
nazar kisi ke dar-o-baam par lagaaye hue
vo shab ko cheer ke suraj nikaal bhi laaye
ham aaj tak hain ummeed-e-sehr lagaaye hue
dilon ki aag jalao ki ek umr hui
sada-e-naal-e-dood-o-sharar lagaaye hue
खड़े हैं दिल में जो बर्ग-ओ-समर लगाए हुए
तुम्हारे हाथ के हैं ये शजर लगाए हुए
बहुत उदास हो तुम और मैं भी बैठा हूँ
गए दिनों की कमर से कमर लगाए हुए
अभी सिपाह-ए-सितम ख़ेमा-ज़न है चार तरफ़
अभी पड़े रहो ज़ंजीर-ए-दर लगाए हुए
कहाँ कहाँ न गए आलम-ए-ख़याल में हम
नज़र किसी के दर-ओ-बाम पर लगाए हुए
वो शब को चीर के सूरज निकाल भी लाए
हम आज तक हैं उम्मीद-ए-सहर लगाए हुए
दिलों की आग जलाओ कि एक उम्र हुई
सदा-ए-नाल-ए-दूद-ओ-शरर लगाए हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Sad Shayari Shayari