ye kehna to nahin kaafi ki bas pyaare lage hum ko | ये कहना तो नहीं काफ़ी कि बस प्यारे लगे हम को - Ahmad Mushtaq

ye kehna to nahin kaafi ki bas pyaare lage hum ko
unhen kaise bataayein hum ki vo kaise lage hum ko

makeen the ya kisi khoi hui jannat ki tasveerein
makaan is shehar ke bhule hue sapne lage hum ko

hum un ko soch mein gum dekh kar waapas chale aaye
vo apne dhyaan mein baithe hue achhe lage hum ko

bahut shaffaaf the jab tak ki masroof-e-tamanna the
magar is kaar-e-duniya mein bade dhabbe lage hum ko

jahaan tanhaa hue dil mein bhanwar se padne lagte hain
agarche muddatein guzriin kinaare se lage hum ko

ये कहना तो नहीं काफ़ी कि बस प्यारे लगे हम को
उन्हें कैसे बताएँ हम कि वो कैसे लगे हम को

मकीं थे या किसी खोई हुई जन्नत की तस्वीरें
मकाँ इस शहर के भूले हुए सपने लगे हम को

हम उन को सोच में गुम देख कर वापस चले आए
वो अपने ध्यान में बैठे हुए अच्छे लगे हम को

बहुत शफ़्फ़ाफ़ थे जब तक कि मसरूफ़-ए-तमन्ना थे
मगर इस कार-ए-दुनिया में बड़े धब्बे लगे हम को

जहाँ तन्हा हुए दिल में भँवर से पड़ने लगते हैं
अगरचे मुद्दतें गुज़रीं किनारे से लगे हम को

- Ahmad Mushtaq
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari