hamesha zulm ke manzar hamein dikhaaye gaye
pahaad tode gaye aur mahal banaaye gaye
tuloo-e-subh ki afwaah itni aam hui
ki nisf shab ko gharo ke diye bujaaye gaye
ab ek baar to qudrat jawaab-deh thehre
hazaar baar ham insaan aazmaaye gaye
falak ka tan-tana bhi toot kar zameen pe gira
sutoon ek gharaunde ke jab giraaye gaye
tiri khudaai mein shaamil agar nasheb bhi hain
to phir kaleem sar-e-toor kyun bulaaye gaye
ye aasmaan the ki aaine the khalaon mein
mah-o-nujoom mein jhaanka to ham hi paaye gaye
daraaz-e-shab mein koi apna hum-safar hi na tha
magar nadeem sadaaein to ham lagaaye gaye
हमेशा ज़ुल्म के मंज़र हमें दिखाए गए
पहाड़ तोड़े गए और महल बनाए गए
तुलू-ए-सुब्ह की अफ़्वाह इतनी आम हुई
कि निस्फ़ शब को घरों के दिए बुझाए गए
अब एक बार तो क़ुदरत जवाब-दह ठहरे
हज़ार बार हम इंसान आज़माए गए
फ़लक का तनतना भी टूट कर ज़मीं पे गिरा
सुतून एक घरौंदे के जब गिराए गए
तिरी ख़ुदाई में शामिल अगर नशेब भी हैं
तो फिर कलीम सर-ए-तूर क्यूँ बुलाए गए
ये आसमाँ थे कि आईने थे ख़लाओं में
मह-ओ-नुजूम में झाँका तो हम ही पाए गए
दराज़-ए-शब में कोई अपना हम-सफ़र ही न था
मगर 'नदीम' सदाएँ तो हम लगाए गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Inquilab Shayari Shayari