kuchh shafaq doobte suraj ki bacha li jaaye | कुछ शफ़क़ डूबते सूरज की बचा ली जाए

  - Ahmad Shanas

kuchh shafaq doobte suraj ki bacha li jaaye
rang-e-imkaan se koi shakl bana li jaaye

harf mohmal sa koi haath pe us ke rakh do
qahat kaisa hai ki har saans sawaali jaaye

shahr-e-malboos mein kyun itna barhana rahiye
koi chat ya koi deewaar-e-khayaali jaaye

saath ho leta hai har shaam wahi sannaata
ghar ko jaane ki nayi raah nikaali jaaye

fenk aankhon ko kisi jheel ki gehraai mein
but koi soch ki aawaara khayaali jaaye

tishna-e-zakham na rahne de badan ko ahmad
aisi talwaar sar-e-shahr uchaali jaaye

कुछ शफ़क़ डूबते सूरज की बचा ली जाए
रंग-ए-इम्काँ से कोई शक्ल बना ली जाए

हर्फ़ मोहमल सा कोई हाथ पे उस के रख दो
क़हत कैसा है कि हर साँस सवाली जाए

शहर-ए-मलबूस में क्यूँ इतना बरहना रहिए
कोई छत या कोई दीवार-ए-ख़याली जाए

साथ हो लेता है हर शाम वही सन्नाटा
घर को जाने की नई राह निकाली जाए

फेंक आँखों को किसी झील की गहराई में
बुत कोई सोच कि आवारा ख़याली जाए

तिश्ना-ए-ज़ख़्म न रहने दे बदन को 'अहमद'
ऐसी तलवार सर-ए-शहर उछाली जाए

  - Ahmad Shanas

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shanas

As you were reading Shayari by Ahmad Shanas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shanas

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari