jamaato mein namaazo mein kabhi nahin milega
milega faiz maykade mein gar kahi milega
tu dhundhna agar jo chahe to talash karle
magar mujh aisa baadaaksh kahi nahin milega
farishton ne bhi meri qabr ko kuchh aise dhundha
idhar azaab sakht hai so vo yahin milega
lipt rahe hain saaqi se ye jaante hue bhi
ki tera qurb sa sukoon idhar nahin milega
main maangne laga tujhe jo phoot ke dua mein
kaha khuda ne khoob ro le par nahin milega
जमातो में नमाजो़ में कभी नहीं मिलेगा
मिलेगा फ़ैज़ मयकदे में गर कहीं मिलेगा
तू ढूंँढ़ना अगर जो चाहे तो तलाश करले
मगर मुझ ऐसा बादाकश कहीं नहीं मिलेगा
फरिश्तों ने भी मेरी क़ब्र को कुछ ऐसे ढूंँढा
इधर अज़ाब सख़्त है सो वो यहीं मिलेगा
लिपट रहे हैं साक़ी से ये जानते हुए भी
कि तेरा कुर्ब सा सुकूंँ इधर नहीं मिलेगा
मैं मांँगने लगा तुझे जो फूट के दुआ में
कहा खुदा ने ख़ूब रो ले पर नहीं मिलेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari