kabhi to mujhko aazma ke dekh | कभी तो मुझको आज़मा के देख

  - Faiz Ahmad

kabhi to mujhko aazma ke dekh
bandagi zaalima dila ke dekh

kaun kehta hai la-ilaaj hoon mai
zara sa zahar to pila ke dekh

ban raha hai jo rozedar bada
uske aage sharaab la ke dekh

khookar ae gham shanaas ek dafa
dil ae patthar ke paas aa ke dekh

kis tarah jee rahe hain bande tire
kabhi to chhod arsh aa ke dekh

ai dil ae na-muraad baat to sun
bhool use aur kisi pe aa ke dekh


pehle thoda sa sabr kar ahmad

baad mein mojzze khuda ke dekh

कभी तो मुझको आज़मा के देख
बंदगी ज़ालिमा दिला के देख

कौन कहता है ला-इलाज हूंँ मै
ज़रा सा ज़हर तो पिला के देख

बन रहा है जो रोजे़दार बड़ा
उसके आगे शराब ला के देख

खूगर ए ग़म शनास एक दफा
दिल ए पत्थर के पास आ के देख

किस तरह जी रहे हैं बन्दे तिरे
कभी तो छोड़ अर्श आ के देख

ऐ दिल ए ना-मुराद बात तो सुन
भूल उसे और किसी पे आ के देख


पहले थोड़ा सा सब्र कर अहमद

बाद में मोजज़े ख़ुदा के देख

  - Faiz Ahmad

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari