tire bin zindagi meri thami si hai | तिरे बिन ज़िन्दगी मेरी थमी सी है

  - Faiz Ahmad

tire bin zindagi meri thami si hai
tire bin ik mere andar kami si hai

tiri yaadon ne dastak di phir is dil par
meri aankhon mein phir aayi nami si hai

tire bin ab yahaan gul khil rahein to hain
magar inmein mahak ki kuchh kami si hai

mere sang ab nahin hai vo magar ahmad
lagegi zindagi bhar ik kami si hai

तिरे बिन ज़िन्दगी मेरी थमी सी है
तिरे बिन इक मिरे अंदर कमी सी है

तिरी यादों ने दस्तक दी फिर इस दिल पर
मिरी आंखों में फिर आई नमी सी है

तिरे बिन अब यहां गुल खिल रहें तो हैं
मगर इनमें महक की कुछ कमी सी है

मिरे संग अब नहीं है वो मगर अहमद
लगेगी ज़िन्दगी भर इक कमी सी है

  - Faiz Ahmad

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari