tum se lad ke jo ghar gaya tha main
phir bichhadne se dar gaya tha main
jis ke dil mein dhadakta tha har pal
us ke dil se utar gaya tha main
sirf main hi tha laash ke nazdeek
apne kaandhon pe ghar gaya tha main
poochhti ho ke kya hua mere baad
har taraf se bikhar gaya tha main
dekh kar jab use rakeeb ke saath
apne andar hi mar gaya tha main
aisi tanhaai kha gai thi mujhe
apne saaye se dar gaya tha main
lag gai zindagi sametne mein
raza raza bikhar gaya tha main
kya bataaoon kahaani ka anjaam
mar gai thi vo mar gaya tha main
तुम से लड़ के जो घर गया था मैं
फिर बिछड़ने से डर गया था मैं
जिस के दिल में धड़कता था हर पल
उस के दिल से उतर गया था मैं
सिर्फ मैं ही था लाश के नज़दीक
अपने काँधों पे घर गया था मैं
पूछती हो के क्या हुआ मिरे बाद
हर तरफ से बिखर गया था मैं
देख कर जब उसे रकी़ब के साथ
अपने अंदर ही मर गया था मैं
ऐसी तन्हाई खा गई थी मुझे
अपने साए से डर गया था मैं
लग गई ज़िन्दगी समेटने में
रेजा़ रेजा़ बिखर गया था मैं
क्या बताऊंँ कहानी का अंजाम
मर गई थी वो मर गया था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Ghar Shayari Shayari