ik bhi baarish jo tire baad musalsal hui ho | इक भी बारिश जो तिरे बाद मुसलसल हुई हो

  - Faiz Ahmad

ik bhi baarish jo tire baad musalsal hui ho
aur kabhi ho bhi gai ho to mukammal hui ho

hai nahin baab-e-jahaan mein koi qissa aisa
jisme aashiq ki mohabbat bhi mukammal hui ho

jab t'alluq rakha kuchh din jo aur usne ye laga
aa chuki thi jo meri maut muattal hui ho

uski izhaar-e-mohabbat mein kari haan yun thi
jaise ik umr se uljhi paheli hal hui ho

kal zameen par jo dikha apna hi saaya ye laga
ik darinde mein bhali rooh mukaffal hui ho

usne jab jab dil ae patthar pe rakhe haath apne
mujh ko tab tab hua mehsoos ke hal-chal hui ho

us nazar mein bhala kaise naye armaan khilen
jo tujhe paane ke armaanon ka maqtal hui ho

इक भी बारिश जो तिरे बाद मुसलसल हुई हो
और कभी हो भी गई हो तो मुकम्मल हुई हो

है नहीं बाब-ए-जहाँ में कोई क़िस्सा ऐसा
जिसमे आशिक़ की मोहब्बत भी मुकम्मल हुई हो

जब त'अल्लुक़ रखा कुछ दिन जो और उसने ये लगा
आ चुकी थी जो मिरी मौत मुअत्तल हुई हो

उसकी इज़हार-ए-मोहब्बत में करी हाँ यूँ थी
जैसे इक उम्र से उलझी पहेली हल हुई हो

कल ज़मीं पर जो दिखा अपना ही साया ये लगा
इक दरिंदे में भली रूह मुकफ्फल हुई हो

उसने जब जब दिल ए पत्थर पे रखे हाथ अपने
मुझ को तब तब हुआ महसूस के हल-चल हुई हो

उस नज़र में भला कैसे नए अरमान खिलें
जो तुझे पाने के अरमानों का मक़तल हुई हो

  - Faiz Ahmad

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari