zara rehm kha mere zarf par zara apne rukh pe naqaab kar | ज़रा रहम खा मिरे ज़र्फ़ पर, ज़रा अपने रुख पे नक़ाब कर - Faiz Ahmad

zara rehm kha mere zarf par zara apne rukh pe naqaab kar
mere ishq ki zara qadr kar meri niyatein na kharab kar

ye jahaan nahin hai yaqeen ka tire jaise qalb-e-mubeen ka
tira nek hona sahi nahin zara aadaton ko kharab kar

tire dam se hi hai chamak rahi meri dil ki galiyon mein raushni
abhi yun na ja mujhe chhod ke meri zindagi na azaab kar

ye jo din kate hain firaq mein ye mila gaye mujhe khaak mein
kabhi aa ke baith qareeb mein kabhi dooriyon ka hisaab kar

jise dekhkar ye tarab rahe jise dekhne ki talab rahe
meri chashm-e-tar ko sukoon de mera aisa koi to khwaab kar

tiri yaad mein ab asar nahin mere dil mein fitna-o-shar nahin
main badal na jaaun mujhe hai dar mujhe phir se aa ke kharab kar

vo jo zindagi se aziz thi tiri bandagi se mili nahin
tira kis tarah ka ye adl hai meri nekiyon ka hisaab kar

ज़रा रहम खा मिरे ज़र्फ़ पर, ज़रा अपने रुख पे नक़ाब कर
मिरे इश्क़ की ज़रा क़द्र कर मिरी नीयतें न ख़राब कर

ये जहाँ नहीं है यक़ीन का, तिरे जैसे क़ल्ब-ए-मुबीन का
तिरा नेक होना सही नहीं, ज़रा आदतों को ख़राब कर

तिरे दम से ही है चमक रही मिरी दिल की गलीयों में रौशनी
अभी यूँ न जा मुझे छोड़ के, मिरी ज़िंदगी न अज़ाब कर

ये जो दिन कटे हैं फ़िराक़ में, ये मिला गए मुझे ख़ाक में
कभी आ के बैठ क़रीब में, कभी दूरियों का हिसाब कर

जिसे देखकर ये तरब रहे, जिसे देखने की तलब रहे
मिरी चश्म-ए-तर को सुकून दे, मिरा ऐसा कोई तो ख़्वाब कर

तिरी याद में अब असर नहीं, मिरे दिल में फितना-ओ-शर नहीं
मैं बदल न जाऊँ मुझे है डर, मुझे फिर से आ के ख़राब कर

वो जो ज़िंदगी से अज़ीज़ थी तिरी बंदगी से मिली नहीं
तिरा किस तरह का ये अद्ल है, मिरी नेकियों का हिसाब कर

- Faiz Ahmad
3 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari