mere haathon mein ubhara hai ye naqsha kis tarah ka hai
meri aankhon mein thehra hai ye dariya kis tarah ka hai
ye mera jism hai azaad lekin rooh qaaidi hai
khudaaya koi batlaaye ye pinjra kis tarah ka hai
meri aahon ko mere qahqahon ne dhaank rakha hai
meri is laash ke oopar ye malba kis tarah ka hai
hai jin mein bojh duniya bhar ka mazhab ke hawaalon se
mere bacchon ke kaandhe par ye basta kis tarah ka hai
tumhein maaloom bhi hai ki vo niyyat ko parkhta hai
ye kis laalach mein karte ho ye sajda kis tarah ka hai
main khud ko dhoondhne nikli thi kuchh bikhre varq le kar
tire andar hoon ja pahunchee ye naqsha kis tarah ka hai
hamein awaaz dena hai nabi ko jaanib-e-mahshar
khuda awaaz de jis ko vo banda kis tarah ka hai
मिरे हाथों में उभरा है ये नक़्शा किस तरह का है
मिरी आँखों में ठहरा है ये दरिया किस तरह का है
ये मेरा जिस्म है आज़ाद लेकिन रूह क़ैदी है
ख़ुदाया कोई बतलाए ये पिंजरा किस तरह का है
मिरी आहों को मेरे क़हक़हों ने ढाँक रक्खा है
मिरी इस लाश के ऊपर ये मलबा किस तरह का है
है जिन में बोझ दुनिया भर का मज़हब के हवालों से
मिरे बच्चों के काँधे पर ये बस्ता किस तरह का है
तुम्हें मालूम भी है कि वो निय्यत को परखता है
ये किस लालच में करते हो ये सज्दा किस तरह का है
मैं ख़ुद को ढूँडने निकली थी कुछ बिखरे वरक़ ले कर
तिरे अंदर हूँ जा पहुँची ये नक़्शा किस तरह का है
हमें आवाज़ देना है नबी को जानिब-ए-महशर
ख़ुदा आवाज़ दे जिस को वो बंदा किस तरह का है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aisha Ayyub
our suggestion based on Aisha Ayyub
As you were reading Samundar Shayari Shayari