ik nayi dastaan sunaane do
aaj ki neend phir ganwaane do
bediyaan tod kar samaajon ki
ishq mein qaid hain deewane do
mere maazi ke regzaaron mein
khat mile hain mujhe purane do
aaj roenge ham bhi jee bhar ke
gham to bas ek hai bahaane do
us ko azaad kar chuki hoon main
phir bhi kehta hai mujh ko jaane do
ek chehre se main pareshaan hoon
ab mujhe aaine sajaane do
raqs karti hai mujh mein khaamoshi
thak gai hai use sulaane do
इक नई दास्ताँ सुनाने दो
आज की नींद फिर गँवाने दो
बेड़ियाँ तोड़ कर समाजों की
इश्क़ में क़ैद हैं दिवाने दो
मेरे माज़ी के रेगज़ारों में
ख़त मिले हैं मुझे पुराने दो
आज रोएँगे हम भी जी भर के
ग़म तो बस एक है बहाने दो
उस को आज़ाद कर चुकी हूँ मैं
फिर भी कहता है मुझ को जाने दो
एक चेहरे से मैं परेशाँ हूँ
अब मुझे आईने सजाने दो
रक़्स करती है मुझ में ख़ामोशी
थक गई है उसे सुलाने दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aisha Ayyub
our suggestion based on Aisha Ayyub
As you were reading Love Shayari Shayari