tumhaare hijr ki muddat ghatta rahi hoon main | तुम्हारे हिज्र की मुद्दत घटा रही हूँ मैं

  - Aisha Ayyub

tumhaare hijr ki muddat ghatta rahi hoon main
ghadi mein waqt ko ulta ghuma rahi hoon main

kitaab-e-zindagi main ne agar padhi hi nahin
kyun imtihaan ka parcha bana rahi hoon main

lagaaee main ne kinaare par aansuon ki sabeel
nadi ki pyaas ko paani pila rahi hoon main

yahi ki dil ki sooni hai dimaagh se pehle
saza usi ki mohabbat mein pa rahi hoon main

suna hai aur ziyaada sitam karega tu
so apne zabt ki taqat badha rahi hoon main

laga ke ek alag zakham us ke pahluu mein
tumhaare zakham ko neecha dikha rahi hoon main

तुम्हारे हिज्र की मुद्दत घटा रही हूँ मैं
घड़ी में वक़्त को उल्टा घुमा रही हूँ मैं

किताब-ए-ज़िंदगी मैं ने अगर पढ़ी ही नहीं
क्यों इम्तिहान का परचा बना रही हूँ मैं

लगाई मैं ने किनारे पर आँसुओं की सबील
नदी की प्यास को पानी पिला रही हूँ मैं

यही कि दिल की सुनी है दिमाग़ से पहले
सज़ा उसी की मोहब्बत में पा रही हूँ मैं

सुना है और ज़ियादा सितम करेगा तू
सो अपने ज़ब्त की ताक़त बढ़ा रही हूँ मैं

लगा के एक अलग ज़ख़्म उस के पहलू में
तुम्हारे ज़ख़्म को नीचा दिखा रही हूँ मैं

  - Aisha Ayyub

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aisha Ayyub

As you were reading Shayari by Aisha Ayyub

Similar Writers

our suggestion based on Aisha Ayyub

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari