mohabbaton ka jo sar par vabaal rakha hai | मोहब्बतों का जो सर पर वबाल रक्खा है

  - Aisha Ayyub

mohabbaton ka jo sar par vabaal rakha hai
futoor-e-ishq hai aur ham ne paal rakha hai

ye intikhaab jo ham ne kiya hai jeene ka
firaq chun liya hai aur visaal rakha hai

kisi bhi roz milo aur udaasiyaan le lo
ham aise log hain sab pur-malaal rakha hai

khizaan ke phool sanjoe kitaab mein rakhe
faseel-e-gham se yun rishta bahaal rakha hai

vo aakhirsh mujhe khwaabon mein dekhne aaya
mere gale ka bhi kaisa khayal rakha hai

ye daur vo hai ki dil mein koi rakhe na rakhe
nazar mein sab ne mujhe bahr-e-haal rakha hai

main la-jawaab hui yun kuchh us ki baaton se
mere sawaal pe us ne sawaal rakha hai

ghazal ke sher mere kab ke mar gaye hote
sama'aton ne unhen dekh-bhaal rakha hai

मोहब्बतों का जो सर पर वबाल रक्खा है
फ़ुतूर-ए-इश्क़ है और हम ने पाल रक्खा है

ये इंतिख़ाब जो हम ने किया है जीने का
फ़िराक़ चुन लिया है और विसाल रक्खा है

किसी भी रोज़ मिलो और उदासियाँ ले लो
हम ऐसे लोग हैं सब पुर-मलाल रक्खा है

ख़िज़ाँ के फूल संजोए किताब में रक्खे
फ़सील-ए-ग़म से यूँ रिश्ता बहाल रक्खा है

वो आख़िरश मुझे ख़्वाबों में देखने आया
मिरे गले का भी कैसा ख़याल रक्खा है

ये दौर वो है कि दिल में कोई रखे न रखे
नज़र में सब ने मुझे बहर-ए-हाल रक्खा है

मैं ला-जवाब हुई यूँ कुछ उस की बातों से
मिरे सवाल पे उस ने सवाल रक्खा है

ग़ज़ल के शेर मिरे कब के मर गए होते
समाअतों ने उन्हें देख-भाल रक्खा है

  - Aisha Ayyub

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aisha Ayyub

As you were reading Shayari by Aisha Ayyub

Similar Writers

our suggestion based on Aisha Ayyub

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari