kuchh baat rah gai thi bataane ke baawajood
hoon haalat-e-safar mein ghar aane ke baawajood
dil se utar chuka tha jo aa kar gale mila
doori wahi thi dil se lagaane ke baawajood
haathon mein ab bhi us ki hai khushboo basi hui
jo rah gai thi haath chhudaane ke baawajood
purze vo khat ke aaj bhi rakhe hain mere paas
jo bach gaye the khat ko jalane ke baawajood
naam us ka mere dil pe chhapa is tarah se hai
yun naqsh hai abhi bhi mitaane ke baawajood
mujh ko bhi ye kamaal-e-hunar hai mila hua
main jee rahi hoon us ko bhulaane ke baawajood
koi bhi ham-shanaas nahin ham-nava nahin
rishton mein ik khala hai nibhaane ke baawajood
teri sadaaein aayein jo maazi ki samt se
ham ruk gaye hain paanv badhaane ke baawajood
jo zid mein badh gaye the zameenon ko raund kar
khush kyun nahin hain aasmaan paane ke baawajood
ye kaisa intizaar ki hota nahin hai khatm
tu aa gaya magar tire aane ke baawajood
कुछ बात रह गई थी बताने के बावजूद
हूँ हालत-ए-सफ़र में घर आने के बावजूद
दिल से उतर चुका था जो आ कर गले मिला
दूरी वही थी दिल से लगाने के बावजूद
हाथों में अब भी उस की है ख़ुशबू बसी हुई
जो रह गई थी हाथ छुड़ाने के बावजूद
पुर्ज़े वो ख़त के आज भी रक्खे हैं मेरे पास
जो बच गए थे ख़त को जलाने के बावजूद
नाम उस का मेरे दिल पे छपा इस तरह से है
यूँ नक़्श है अभी भी मिटाने के बावजूद
मुझ को भी ये कमाल-ए-हुनर है मिला हुआ
मैं जी रही हूँ उस को भुलाने के बावजूद
कोई भी हम-शनास नहीं हम-नवा नहीं
रिश्तों में इक ख़ला है निभाने के बावजूद
तेरी सदाएँ आईं जो माज़ी की सम्त से
हम रुक गए हैं पाँव बढ़ाने के बावजूद
जो ज़िद में बढ़ गए थे ज़मीनों को रौंद कर
ख़ुश क्यों नहीं हैं आसमाँ पाने के बावजूद
ये कैसा इंतिज़ार कि होता नहीं है ख़त्म
तू आ गया मगर तिरे आने के बावजूद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aisha Ayyub
our suggestion based on Aisha Ayyub
As you were reading Rishta Shayari Shayari