tilism-zaar-e-shab-e-maah mein guzar jaaye | तिलिस्म-ज़ार-ए-शब-ए-माह में गुज़र जाए

  - Aitbar Sajid

tilism-zaar-e-shab-e-maah mein guzar jaaye
ab itni raat gaye kaun apne ghar jaaye

ajab nasha hai tire qurb mein ki jee chahe
ye zindagi tiri aaghosh mein guzar jaaye

main tere jism mein kuchh is tarah samaa jaaun
ki tera lams meri rooh mein utar jaaye

misaal-e-barg-e-khizaan hai hawa ki zad pe ye dil
na jaane shaakh se bichhde to phir kidhar jaaye

main yun udaas hoon imshab ki jaise rang-e-gulaab
khizaan ki chaap se be-saakhta utar jaaye

havaa-e-shaam-e-judaai hai aur gham laahaq
na jaane jism ki deewaar kab bikhar jaaye

agar na shab ka safar ho tire husool ki shart
farogh-e-mehr tira e'tibaar mar jaaye

तिलिस्म-ज़ार-ए-शब-ए-माह में गुज़र जाए
अब इतनी रात गए कौन अपने घर जाए

अजब नशा है तिरे क़ुर्ब में कि जी चाहे
ये ज़िंदगी तिरी आग़ोश में गुज़र जाए

मैं तेरे जिस्म में कुछ इस तरह समा जाऊँ
कि तेरा लम्स मिरी रूह में उतर जाए

मिसाल-ए-बर्ग-ए-ख़िज़ाँ है हवा की ज़द पे ये दिल
न जाने शाख़ से बिछड़े तो फिर किधर जाए

मैं यूँ उदास हूँ इमशब कि जैसे रंग-ए-गुलाब
ख़िज़ाँ की चाप से बे-साख़्ता उतर जाए

हवा-ए-शाम-ए-जुदाई है और ग़म लाहक़
न जाने जिस्म की दीवार कब बिखर जाए

अगर न शब का सफ़र हो तिरे हुसूल की शर्त
फ़रोग़-ए-महर तिरा ए'तिबार मर जाए

  - Aitbar Sajid

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari