aane waali thi khizaan maidaan khaali kar diya | आने वाली थी ख़िज़ाँ मैदान ख़ाली कर दिया

  - Aitbar Sajid

aane waali thi khizaan maidaan khaali kar diya
kal hawaa-e-shab ne saara laan khaali kar diya

ham tire khwaabon ki jannat se nikal kar aa gaye
dekh tera qasr-e-aali-shaan khaali kar diya

dushmanon ne shust baandhi khema-e-ummeed par
doston ne darra-e-imkaan khaali kar diya

baantne nikla hai vo phoolon ke tohfe shehar mein
is khabar par ham ne bhi gul-daan khaali kar diya

le gaya vo saath apne dil ki saari raunqen
kis qadar ye shehar tha gunjaan khaali kar diya

saari chidiyaan ud gaeein mujh ko akela chhod kar
mere ghar ka sehan aur daalaan khaali kar diya

diary mein saare achhe sher chun kar likh liye
ek ladki ne mera deewaan khaali kar diya

आने वाली थी ख़िज़ाँ मैदान ख़ाली कर दिया
कल हवा-ए-शब ने सारा लान ख़ाली कर दिया

हम तिरे ख़्वाबों की जन्नत से निकल कर आ गए
देख तेरा क़स्र-ए-आली-शान ख़ाली कर दिया

दुश्मनों ने शुस्त बाँधी ख़ेमा-ए-उम्मीद पर
दोस्तों ने दर्रा-ए-इमकान ख़ाली कर दिया

बाँटने निकला है वो फूलों के तोहफ़े शहर में
इस ख़बर पर हम ने भी गुल-दान ख़ाली कर दिया

ले गया वो साथ अपने दिल की सारी रौनक़ें
किस क़दर ये शहर था गुंजान ख़ाली कर दिया

सारी चिड़ियाँ उड़ गईं मुझ को अकेला छोड़ कर
मेरे घर का सेहन और दालान ख़ाली कर दिया

डाइरी में सारे अच्छे शेर चुन कर लिख लिए
एक लड़की ने मिरा दीवान ख़ाली कर दिया

  - Aitbar Sajid

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari