hain sau tarah ke rang har ik naqsh-e-paa mein dekh
insaan ka husn aaina-e-irtiqa mein dekh
yun hi nahin ye bartari-e-nasl-e-aadmi
guzre hain kaise haadse saee-e-baqa mein dekh
sarf-e-nazar hain waqt ki pinhaaiyaan tamaam
duniya-e-na-rasa meri fikr-e-rasa mein dekh
ye raushni to lau hai isee ik charaagh ki
tazeen-e-dahr zehan ki nasho-o-numa mein dekh
is kaarobaar jaan-o-jasad par nigaah daal
hain kaisi kaisi ne'ematein aab-o-hawa mein dekh
yaa kitne log mar ke amar ho gaye na pooch
kya sooraten baqa ki hain rah-e-fana mein dekh
sun to khiraam-e-waqt mein hain kaisi aahaten
kya rang pur-fishaan hain ghubaar-e-hawa mein dekh
akbar hai ek mahshar-e-ilm-o-khabar dimaagh
shor-e-hayaat khaana-e-beem-o-rajaa mein dekh
हैं सौ तरह के रंग हर इक नक़्श-ए-पा में देख
इंसाँ का हुस्न आइना-ए-इर्तिक़ा में देख
यूँ ही नहीं ये बरतरी-ए-नस्ल-ए-आदमी
गुज़रे हैं कैसे हादसे सई-ए-बक़ा में देख
सर्फ़-ए-नज़र हैं वक़्त की पिन्हाइयाँ तमाम
दुनिया-ए-ना-रसा मिरी फ़िक्र-ए-रसा में देख
ये रौशनी तो लौ है इसी इक चराग़ की
तज़ईन-ए-दहर ज़ेहन की नशो-ओ-नुमा में देख
इस कारोबार जान-ओ-जसद पर निगाह डाल
हैं कैसी कैसी ने'मतें आब-ओ-हवा में देख
याँ कितने लोग मर के अमर हो गए न पूछ
क्या सूरतें बक़ा की हैं राह-ए-फ़ना में देख
सुन तो ख़िराम-ए-वक़्त में हैं कैसी आहटें
क्या रंग पुर-फ़िशाँ हैं ग़ुबार-ए-हवा में देख
'अकबर' है एक महशर-ए-इल्म-ओ-ख़बर दिमाग़
शोर-ए-हयात ख़ाना-ए-बीम-ओ-रजा में देख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi
our suggestion based on Akbar Hyderabadi
As you were reading Diversity Shayari Shayari