jin ke naseeb mein aab-o-daana kam kam hota hai | जिन के नसीब में आब-ओ-दाना कम कम होता है

  - Akbar Hyderabadi

jin ke naseeb mein aab-o-daana kam kam hota hai
maail un ki samt zamaana kam kam hota hai

raaste hi mein ho jaati hain baatein bas do-chaar
ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai

mushkil hi se kar leti hai duniya use qubool
aisi haqeeqat jis mein fasana kam kam hota hai

kabhi jo baatein ishq ke saal-o-sin ka haasil theen
ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai

rind sabhi saaghar par saaghar chhalakaate jaate hain
kyun labreiz mera paimaana kam kam hota hai

baat pate ki kar jaata hai yun to kabhi kabhi
hosh mein lekin ye deewaana kam kam hota hai

kitni muqaddas hogi akbar us bacche ki pyaas
jis ki ik thokar se ravana zamzam hota hai

जिन के नसीब में आब-ओ-दाना कम कम होता है
माइल उन की सम्त ज़माना कम कम होता है

रस्ते ही में हो जाती हैं बातें बस दो-चार
अब तो उन के घर भी जाना कम कम होता है

मुश्किल ही से कर लेती है दुनिया उसे क़ुबूल
ऐसी हक़ीक़त जिस में फ़साना कम कम होता है

कभी जो बातें इश्क़ के साल-ओ-सिन का हासिल थीं
अब उन बातों का याद आना कम कम होता है

रिंद सभी साग़र पर साग़र छलकाते जाते हैं
क्यूँ लबरेज़ मिरा पैमाना कम कम होता है

बात पते की कर जाता है यूँ तो कभी कभी
होश में लेकिन ये दीवाना कम कम होता है

कितनी मुक़द्दस होगी 'अकबर' उस बच्चे की प्यास
जिस की इक ठोकर से रवाना ज़मज़म होता है

  - Akbar Hyderabadi

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hyderabadi

As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari