kul aalam-e-vujood ki ik dasht-e-noor tha
saara hijaab teera-dili ka qusoor tha
samjhe the johd-e-ishq mein ham surkh-roo hue
dekha magar to sheesha-e-dil choor choor tha
pahunchen na yun hi manzil-e-izhaar-e-zaat tak
taht-e-shuoor ik safar-e-la-shuoor tha
tha jo qareeb us ko baseerat na thi naseeb
jo dekhta tha mujh ko bahut mujh se door tha
mubham the sab nuqoosh naqaabon ki dhund mein
chehra ik aur bhi pas-e-chehra zaroor tha
कुल आलम-ए-वुजूद कि इक दश्त-ए-नूर था
सारा हिजाब तीरा-दिली का क़ुसूर था
समझे थे जोहद-ए-इश्क़ में हम सुर्ख़-रू हुए
देखा मगर तो शीशा-ए-दिल चूर चूर था
पहुँचे न यूँ ही मंज़िल-ए-इज़हार-ए-ज़ात तक
तहत-ए-शुऊर इक सफ़र-ए-ला-शुऊर था
था जो क़रीब उस को बसीरत न थी नसीब
जो देखता था मुझ को बहुत मुझ से दूर था
मुबहम थे सब नुक़ूश नक़ाबों की धुँद में
चेहरा इक और भी पस-ए-चेहरा ज़रूर था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi
our suggestion based on Akbar Hyderabadi
As you were reading Aaina Shayari Shayari