ghutan azaab-e-badan ki na meri jaan mein la | घुटन अज़ाब-ए-बदन की न मेरी जान में ला

  - Akbar Hyderabadi

ghutan azaab-e-badan ki na meri jaan mein la
badal ke ghar mera mujh ko mere makaan mein la

meri ikaai ko izhaar ka wasila de
meri nazar ko mere dil ko imtihaan mein la

sakhi hai vo to sakhaawat ki laaj rakh lega
sawaal arz-e-talab ka na darmiyaan mein la

dil-e-vujood ko jo cheer kar guzar jaaye
ik aisa teer tu apni kaddi kamaan mein la

hai vo to hadd-e-girift-e-khayaal se bhi pare
ye soch kar hi khayal us ka apne dhyaan mein la

badan tamaam usi ki sada se goonj uthe
talaatum aisa koi aaj meri jaan mein la

charaagh-e-raahguzar laakh tabaanaak sahi
jala ke apna diya raushni makaan mein la

b-rang-e-khwaab sahi saari kaayenaat akbar
vujood-e-kul ko na andesha-e-gumaan mein la

घुटन अज़ाब-ए-बदन की न मेरी जान में ला
बदल के घर मिरा मुझ को मिरे मकान में ला

मिरी इकाई को इज़हार का वसीला दे
मिरी नज़र को मिरे दिल को इम्तिहान में ला

सख़ी है वो तो सख़ावत की लाज रख लेगा
सवाल अर्ज़-ए-तलब का न दरमियान में ला

दिल-ए-वजूद को जो चीर कर गुज़र जाए
इक ऐसा तीर तू अपनी कड़ी कमान में ला

है वो तो हद्द-ए-गिरफ़्त-ए-ख़याल से भी परे
ये सोच कर ही ख़याल उस का अपने ध्यान में ला

बदन तमाम उसी की सदा से गूँज उठे
तलातुम ऐसा कोई आज मेरी जान में ला

चराग़-ए-राहगुज़र लाख ताबनाक सही
जला के अपना दिया रौशनी मकान में ला

ब-रंग-ए-ख़्वाब सही सारी काएनात 'अकबर'
वजूद-ए-कुल को न अंदेशा-ए-गुमान में ला

  - Akbar Hyderabadi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hyderabadi

As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari