ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai
hua hai kaun naamzad nazar nazar ki baat hai
gul o sitaara o qamar sabhi haseen hain magar
hai kaun in mein mustanad nazar nazar ki baat hai
izafi e'tibaar hai taayyun-e-maqaam bhi
hai past bhi buland-qad nazar nazar ki baat hai
bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai
zameen agarche bistar-e-gul-o-saman bhi hai magar
kisi ko hai yahi lahd nazar nazar ki baat hai
koi chale tamaam umr koi sirf do qadam
kahaan hai manzilon ki had nazar nazar ki baat hai
अता हुई किसे सनद नज़र नज़र की बात है
हुआ है कौन नाम-ज़द नज़र नज़र की बात है
गुल ओ सितारा ओ क़मर सभी हसीन हैं मगर
है कौन इन में मुस्तनद नज़र नज़र की बात है
इज़ाफ़ी ए'तिबार है तअय्युन-ए-मक़ाम भी
है पस्त भी बुलंद-क़द नज़र नज़र की बात है
बुरे भले में फ़र्क़ है ये जानते हैं सब मगर
है कौन नेक कौन बद नज़र नज़र की बात है
ज़मीं अगरचे बिस्तर-ए-गुल-ओ-समन भी है मगर
किसी को है यही लहद नज़र नज़र की बात है
कोई चले तमाम उम्र कोई सिर्फ़ दो क़दम
कहाँ है मंज़िलों की हद नज़र नज़र की बात है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi
our suggestion based on Akbar Hyderabadi
As you were reading Phool Shayari Shayari