aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kaal hai | आँख में आँसू का और दिल में लहू का काल है

  - Akbar Hyderabadi

aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kaal hai
hai tamannaa ka wahi jo zindagi ka haal hai

yun dhuaan dene laga hai jism aur jaan ka alaav
jaise rag rag mein ravaan ik aatish-e-sayyaal hai

failte jaate hain daam-e-naarsi ke daayere
tere mere darmiyaan kin haadson ka jaal hai

ghir gai hai do zamaanon ki kashaaksh mein hayaat
ik taraf zanjeer-e-maazi ek jaanib haal hai

hijr ki raahon se akbar manzil-e-deedaar tak
yun hai jaise darmiyaan ik raushni ka saal hai

आँख में आँसू का और दिल में लहू का काल है
है तमन्ना का वही जो ज़िंदगी का हाल है

यूँ धुआँ देने लगा है जिस्म और जाँ का अलाव
जैसे रग रग में रवाँ इक आतिश-ए-सय्याल है

फैलते जाते हैं दाम-ए-नारसी के दाएरे
तेरे मेरे दरमियाँ किन हादसों का जाल है

घिर गई है दो ज़मानों की कशाकश में हयात
इक तरफ़ ज़ंजीर-ए-माज़ी एक जानिब हाल है

हिज्र की राहों से 'अकबर' मंज़िल-ए-दीदार तक
यूँ है जैसे दरमियाँ इक रौशनी का साल है

  - Akbar Hyderabadi

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hyderabadi

As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari