shaakh-e-buland-e-baam se ik din utar ke dekh | शाख़-ए-बुलंद-ए-बाम से इक दिन उतर के देख

  - Akbar Hyderabadi

shaakh-e-buland-e-baam se ik din utar ke dekh
ambaar-e-barg-o-baar-e-khizaan mein bikhar ke dekh

mitti ke saadgi mein alag sa jamaal hai
rangon ki nikhaton ki qaba taar karke dekh

imkaan ki vusa'ton ke ufuq zaar khul gaye
par tolane lage hain parinde sehar ke dekh

zulmat ki kashtiyon ko bhanwar hai ye raushni
dar khul rahe hain daanish-o-ilm-o-khabar ke dekh

kya jaane gham ki aanch ka partav kahaan pade
angadaai le rahe hain hayoole sharar ke dekh

sangeen haadson ki hikaayat taveel hai
koh-e-giraan ki baat na kar zakham sar ke dekh

apni basaarton ko jasaarat ki aanch de
manzar isee nazar se jahaan-e-digar ke dekh

pindaar-e-sar-nigoon ka junoon mo'tabar nahin
bujhte hue charaagh ki lau tez karke dekh

akbar nidaa-e-shab ko navaa-e-sehr samajh
lau de rahe hain hausale ahl-e-nazar ke dekh

शाख़-ए-बुलंद-ए-बाम से इक दिन उतर के देख
अम्बार-ए-बर्ग-ओ-बार-ए-ख़िज़ाँ में बिखर के देख

मिट्टी के सादगी में अलग सा जमाल है
रंगों की निकहतों की क़बा तार करके देख

इम्काँ की वुसअ'तों के उफ़ुक़ ज़ार खुल गए
पर तोलने लगे हैं परिंदे सहर के देख

ज़ुल्मत की कश्तियों को भँवर है ये रौशनी
दर खुल रहे हैं दानिश-ओ-इल्म-ओ-ख़बर के देख

क्या जाने ग़म की आँच का परतव कहाँ पड़े
अंगड़ाई ले रहे हैं हयूले शरर के देख

संगीन हादसों की हिकायत तवील है
कोह-ए-गिराँ की बात न कर ज़ख़्म सर के देख

अपनी बसारतों को जसारत की आँच दे
मंज़र इसी नज़र से जहान-ए-दिगर के देख

पिंदार-ए-सर-निगूँ का जुनूँ मो'तबर नहीं
बुझते हुए चराग़ की लौ तेज़ करके देख

'अकबर' निदा-ए-शब को नवा-ए-सहर समझ
लौ दे रहे हैं हौसले अहल-ए-नज़र के देख

  - Akbar Hyderabadi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hyderabadi

As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari