jin pe ajal taari thi un ko zinda karta hai
suraj jal kar kitne dilon ko thanda karta hai
kitne shehar ujad jaate hain kitne jal jaate hain
aur chup-chaap zamaana sab kuchh dekha karta hai
majbooron ki baat alag hai un par kya ilzaam
jis ko nahin koi majboori vo kya karta hai
himmat waale pal mein badal dete hain duniya ko
sochne waala dil to baitha socha karta hai
jis basti mein nafsa-nafsi ka qaanoon chale
us basti mein kaun kisi ki parwa karta hai
pyaar bhari awaaz ki lay mein madhham lehje mein
tanhaai mein koi mujh se bola karta hai
us ik sham-e-farozaan ke hain aur bhi parwaane
chaand akela kab suraj ka halka karta hai
rooh barhana nafs barhana zaat barhana jis ki
jism pe vo kya kya poshaakein pahna karta hai
ashkon ke sailaab-e-ravaan ko akbar mat roko
bah jaaye to bujh ye dil ka halka karta hai
जिन पे अजल तारी थी उन को ज़िंदा करता है
सूरज जल कर कितने दिलों को ठंडा करता है
कितने शहर उजड़ जाते हैं कितने जल जाते हैं
और चुप-चाप ज़माना सब कुछ देखा करता है
मजबूरों की बात अलग है उन पर क्या इल्ज़ाम
जिस को नहीं कोई मजबूरी वो क्या करता है
हिम्मत वाले पल में बदल देते हैं दुनिया को
सोचने वाला दिल तो बैठा सोचा करता है
जिस बस्ती में नफ़सा-नफ़सी का क़ानून चले
उस बस्ती में कौन किसी की पर्वा करता है
प्यार भरी आवाज़ की लय में मद्धम लहजे में
तन्हाई में कोई मुझ से बोला करता है
उस इक शम-ए-फ़रोज़ाँ के हैं और भी परवाने
चाँद अकेला कब सूरज का हल्क़ा करता है
रूह बरहना नफ़्स बरहना ज़ात बरहना जिस की
जिस्म पे वो क्या क्या पोशाकें पहना करता है
अश्कों के सैलाब-ए-रवाँ को 'अकबर' मत रोको
बह जाए तो बूझ ये दिल का हल्का करता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi
our suggestion based on Akbar Hyderabadi
As you were reading Partition Shayari Shayari