dahakte kuchh khayal hain ajeeb ajeeb se | दहकते कुछ ख़याल हैं अजीब अजीब से

  - Akbar Hyderabadi

dahakte kuchh khayal hain ajeeb ajeeb se
ki zehan mein sawaal hain ajeeb ajeeb se

tha aftaab subh kuchh to shaam ko kuchh aur
urooj aur zawaal hain ajeeb ajeeb se

har ek shaahraah par dukano mein saje
tarah tarah ke maal hain ajeeb ajeeb se

vo paas ho ke door hai to door ho ke paas
firaq aur visaal hain ajeeb ajeeb se

nikalna in se bach ke sahal is qadar nahin
qadam qadam pe jaal hain ajeeb ajeeb se

adab faqat adab hai ya hai tarjumaan-e-zeest
mere yahi sawaal hain adeeb adeeb se

दहकते कुछ ख़याल हैं अजीब अजीब से
कि ज़ेहन में सवाल हैं अजीब अजीब से

था आफ़्ताब सुब्ह कुछ तो शाम को कुछ और
उरूज और ज़वाल हैं अजीब अजीब से

हर एक शाहराह पर दुकानों में सजे
तरह तरह के माल हैं अजीब अजीब से

वो पास हो के दूर है तो दूर हो के पास
फ़िराक़ और विसाल हैं अजीब अजीब से

निकलना इन से बच के सहल इस क़दर नहीं
क़दम क़दम पे जाल हैं अजीब अजीब से

अदब फ़क़त अदब है? या है तर्जुमान-ए-ज़ीस्त?
मिरे यही सवाल हैं अदीब अदीब से

  - Akbar Hyderabadi

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hyderabadi

As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari