haan yahi shehar mere khwaabon ka gahvaara tha | हाँ यही शहर मिरे ख़्वाबों का गहवारा था - Akbar Hyderabadi

haan yahi shehar mere khwaabon ka gahvaara tha
inhi galiyon mein kahi mera sanam-khaana tha

isee dharti pe the aabaad saman-zaar mere
isee basti mein meri rooh ka sarmaaya tha

thi yahi aab-o-hawa nashv-o-numa ki zaamin
isee mitti se mere fan ka khameer utha tha

ab na deewaron se nisbat hai na baam-o-dar se
kya isee ghar se kabhi mera koi rishta tha

zakham yaadon ke sulagte hain meri aankhon mein
khwaab in aankhon ne kya jaaniye kya dekha tha

meherbaan raat ke saaye the munavvar aise
ashk aankhon mein liye dil ye saraaseema tha

ajnabi lagte the sab koocha o bazaar akbar
ghaur se dekha to vo shehar mera apna tha

हाँ यही शहर मिरे ख़्वाबों का गहवारा था
इन्ही गलियों में कहीं मेरा सनम-ख़ाना था

इसी धरती पे थे आबाद समन-ज़ार मिरे
इसी बस्ती में मिरी रूह का सरमाया था

थी यही आब-ओ-हवा नश्व-ओ-नुमा की ज़ामिन
इसी मिट्टी से मिरे फ़न का ख़मीर उट्ठा था

अब न दीवारों से निस्बत है न बाम-ओ-दर से
क्या इसी घर से कभी मेरा कोई रिश्ता था

ज़ख़्म यादों के सुलगते हैं मिरी आँखों में
ख़्वाब इन आँखों ने क्या जानिए क्या देखा था

मेहरबाँ रात के साए थे मुनव्वर ऐसे
अश्क आँखों में लिए दिल ये सरासीमा था

अजनबी लगते थे सब कूचा ओ बाज़ार 'अकबर'
ग़ौर से देखा तो वो शहर मिरा अपना था

- Akbar Hyderabadi
0 Likes

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hyderabadi

As you were reading Shayari by Akbar Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari