yahan mausam bhi badlen to nazaare ek jaise hain | यहाँ मौसम भी बदलें तो नज़ारे एक जैसे हैं

  - Akhtar Amaan

yahan mausam bhi badlen to nazaare ek jaise hain
hamaare roz-o-shab saare ke saare ek jaise hain

hamein har aane waala zakham-e-taaza de ke jaata hai
hamaare chaand suraj aur sitaare ek jaise hain

khudaaya tere dam se apna ghar ab tak salaamat hai
vagarna dost aur dushman hamaare ek jaise hain

kahi gar farq niklega to bas shiddat ka kuchh warna
yahan par gham hamaare aur tumhaare ek jaise hain

main kis ummeed pe daaman kisi ka thaam luun akhtar
ki sab se dosti mein ab khasaare ek jaise hain

यहाँ मौसम भी बदलें तो नज़ारे एक जैसे हैं
हमारे रोज़-ओ-शब सारे के सारे एक जैसे हैं

हमें हर आने वाला ज़ख़्म-ए-ताज़ा दे के जाता है
हमारे चाँद सूरज और सितारे एक जैसे हैं

ख़ुदाया तेरे दम से अपना घर अब तक सलामत है
वगर्ना दोस्त और दुश्मन हमारे एक जैसे हैं

कहीं गर फ़र्क़ निकलेगा तो बस शिद्दत का कुछ वर्ना
यहाँ पर ग़म हमारे और तुम्हारे एक जैसे हैं

मैं किस उम्मीद पे दामन किसी का थाम लूँ 'अख़्तर'
कि सब से दोस्ती में अब ख़सारे एक जैसे हैं

  - Akhtar Amaan

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Amaan

As you were reading Shayari by Akhtar Amaan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Amaan

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari