taveel-tar hai safar mukhtasar nahin hota
mohabbaton ka shajar be-samar nahin hota
phir us ke b'ad kai log mil ke bichhde hain
kisi judaai ka dil par asar nahin hota
har ek shakhs ki apni hi ek manzil hai
koi kisi ka yahan hum-safar nahin hota
tamaam umr guzar jaati hai kabhi pal mein
kabhi to ek hi lamha basar nahin hota
ye aur baat hai vo apna haal-e-dil na kahe
koi bhi shakhs yahan be-khabar nahin hota
ajeeb log hain ye ahl-e-ishq bhi akhtar
ki dil to hota hai par in ka sar nahin hota
तवील-तर है सफ़र मुख़्तसर नहीं होता
मोहब्बतों का शजर बे-समर नहीं होता
फिर उस के ब'अद कई लोग मिल के बिछड़े हैं
किसी जुदाई का दिल पर असर नहीं होता
हर एक शख़्स की अपनी ही एक मंज़िल है
कोई किसी का यहाँ हम-सफ़र नहीं होता
तमाम उम्र गुज़र जाती है कभी पल में
कभी तो एक ही लम्हा बसर नहीं होता
ये और बात है वो अपना हाल-ए-दिल न कहे
कोई भी शख़्स यहाँ बे-ख़बर नहीं होता
अजीब लोग हैं ये अहल-ए-इश्क़ भी 'अख़्तर'
कि दिल तो होता है पर इन का सर नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Amaan
our suggestion based on Akhtar Amaan
As you were reading Faasla Shayari Shayari