zindagi ki tez itni ab rawaani ho gai
baat jo sochi vo kehne tak puraani ho gai
aam si ik baat thi apni mohabbat bhi magar
ye bhi jab logon talak pahunchee kahaani ho gai
khauf ki parchaaiyaan hain har dar-o-deewar par
apne ghar par jaane kis ki hukmraani ho gai
zindagi ke baad akhtar zindagi ik aur hai
maut bhi jaise faqat naql-e-makaani ho gai
ज़िंदगी की तेज़ इतनी अब रवानी हो गई
बात जो सोची वो कहने तक पुरानी हो गई
आम सी इक बात थी अपनी मोहब्बत भी मगर
ये भी जब लोगों तलक पहुँची कहानी हो गई
ख़ौफ़ की परछाइयाँ हैं हर दर-ओ-दीवार पर
अपने घर पर जाने किस की हुक्मरानी हो गई
ज़िंदगी के बाद 'अख़्तर' ज़िंदगी इक और है
मौत भी जैसे फ़क़त नक़्ल-ए-मकानी हो गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Amaan
our suggestion based on Akhtar Amaan
As you were reading Love Shayari Shayari