pehle ham ishq kiya karte the
haan kabhi ham bhi jiya karte the
apne daaman ki kabhi fikr na ki
chaak auron ke siya karte the
pehle har haal mein khush rahte the
jaane kya kaam kiya karte the
chaahne waale bahut the lekin
ham bas ik naam liya karte the
kabhi aansu to kabhi may akhtar
jo mayassar tha piya karte the
पहले हम इश्क़ किया करते थे
हाँ कभी हम भी जिया करते थे
अपने दामन की कभी फ़िक्र न की
चाक औरों के सिया करते थे
पहले हर हाल में ख़ुश रहते थे
जाने क्या काम किया करते थे
चाहने वाले बहुत थे लेकिन
हम बस इक नाम लिया करते थे
कभी आँसू तो कभी मय 'अख़्तर'
जो मयस्सर था पिया करते थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Amaan
our suggestion based on Akhtar Amaan
As you were reading Sharaab Shayari Shayari