fasurda ho ke maykhaane se nikle | फ़सुर्दा हो के मयख़ाने से निकले - Akhtar Ansari Akbarabadi

fasurda ho ke maykhaane se nikle
yahan bhi apne begaane se nikle

shafaq ka rang gahra kar gaye aur
jo sholay mere kaashaane se nikle

zara ai gardish-e-dauraan theharna
vo nikle rind maykhaane se nikle

gham-e-dil ka asar har bazm mein hai
sab afsaane us afsaane se nikle

kiya aabaad veeraane ko hum ne
humeen aabaad veeraane se nikle

jo pahunchen daar tak mansoor the vo
hazaaron rind maykhaane se nikle

nikalte hum na gham-khaane se akhtar
haseen mausam ke bahkaane se nikle

फ़सुर्दा हो के मयख़ाने से निकले
यहाँ भी अपने बेगाने से निकले

शफ़क़ का रंग गहरा कर गए और
जो शो'ले मेरे काशाने से निकले

ज़रा ऐ गर्दिश-ए-दौराँ ठहरना
वो निकले रिंद मयख़ाने से निकले

ग़म-ए-दिल का असर हर बज़्म में है
सब अफ़्साने उस अफ़्साने से निकले

किया आबाद वीराने को हम ने
हमीं आबाद वीराने से निकले

जो पहुँचे दार तक मंसूर थे वो
हज़ारों रिंद मयख़ाने से निकले

निकलते हम न ग़म-ख़ाने से 'अख़्तर'
हसीं मौसम के बहकाने से निकले

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Mausam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Mausam Shayari Shayari