shaairo hadd-e-qadamat se nikal kar dekho | शाइरो हद्द-ए-क़दामत से निकल कर देखो - Akhtar Ansari Akbarabadi

shaairo hadd-e-qadamat se nikal kar dekho
dastaanon ke ab unwaan badal kar dekho

kyun ho taqleed-e-kaleem aaj bhi ai deeda-varo
deedaani ho koi jalwa to sambhal kar dekho

sham-o-parwaana ka andaaz naya hai ki nahin
zikr tha jis ka ab us bazm mein chal kar dekho

aur bhi rukh nazar aayenge tajalli ke abhi
rukh nigaahon ke zara aur badal kar dekho

agle waqton ke fasaane na sunaao yaaro
naye maahol ke saanche mein bhi dhal kar dekho

kal ke andaaz bhi dilkash the ye tasleem magar
aaj bhi sheher-e-nigaaraan mein nikal kar dekho

apne ahbaab ki jaanib na uthao nazrein
dekhna hai agar akhtar to sambhal kar dekho

शाइरो हद्द-ए-क़दामत से निकल कर देखो
दास्तानों के अब उनवान बदल कर देखो

क्यूँ हो तक़लीद-ए-कलीम आज भी ऐ दीदा-वरो
दीदनी हो कोई जल्वा तो सँभल कर देखो

शम-ओ-परवाना का अंदाज़ नया है कि नहीं
ज़िक्र था जिस का अब उस बज़्म में चल कर देखो

और भी रुख़ नज़र आएँगे तजल्ली के अभी
रुख़ निगाहों के ज़रा और बदल कर देखो

अगले वक़्तों के फ़साने न सुनाओ यारो
नए माहौल के साँचे में भी ढल कर देखो

कल के अंदाज़ भी दिलकश थे ये तस्लीम मगर
आज भी शहर-ए-निगाराँ में निकल कर देखो

अपने अहबाब की जानिब न उठाओ नज़रें
देखना है अगर 'अख़्तर' तो सँभल कर देखो

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari