dil ke armaan dil ko chhod gaye
aah munh is jahaan se mod gaye
vo umangein nahin tabeeyat mein
kya kahein jee ko sadme tod gaye
baada-e-baas ke musalsal daur
saaghar-e-aarzoo ko phod gaye
mit gaye vo nazzara-ha-e-jameel
lekin aankhon mein aks chhod gaye
ham the ishrat ki gahri neenden theen
aaye aalaam aur jhinjhod gaye
दिल के अरमान दिल को छोड़ गए
आह मुँह इस जहाँ से मोड़ गए
वो उमंगें नहीं तबीअत में
क्या कहें जी को सदमे तोड़ गए
बादा-ए-बास के मुसलसल दौर
साग़र-ए-आरज़ू को फोड़ गए
मिट गए वो नज़्ज़ारा-हा-ए-जमील
लेकिन आँखों में अक्स छोड़ गए
हम थे इशरत की गहरी नींदें थीं
आए आलाम और झिंझोड़ गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Aah Shayari Shayari