jo daagh ban ke tamannaa tamaam ho jaaye
hamein to khoon bhi rona haraam ho jaaye
shabaab-e-dard meri zindagi ki subh sahi
piyuun sharaab yahan tak ki shaam ho jaaye
yahi hai maslahat intihaa-e-raaz akhtar
jahaan mein rasm-e-mohabbat na aam ho jaaye
जो दाग़ बन के तमन्ना तमाम हो जाए
हमें तो ख़ून भी रोना हराम हो जाए
शबाब-ए-दर्द मिरी ज़िंदगी की सुब्ह सही
पियूँ शराब यहाँ तक कि शाम हो जाए
यही है मस्लहत इंतिहा-ए-राज़ 'अख़्तर'
जहाँ में रस्म-ए-मोहब्बत न आम हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Life Shayari Shayari