kya khabar thi ik bala-e-na-gahaani aayegi
na-muraadi ki nishaani ye jawaani aayegi
sab kaheinge kaun karta hai hamaare raaz faash
jab mere lab par mohabbat ki kahaani aayegi
na-muraadi se kaho munh fer le apna zara
meri duniya mein uroos-e-kaamraani aayegi
jab khizaan ki nazr ho jaayegi duniya se shabaab
yaad akhtar ye sitam-aara jawaani aayegi
क्या ख़बर थी इक बला-ए-ना-गहानी आएगी
ना-मुरादी की निशानी ये जवानी आएगी
सब कहेंगे कौन करता है हमारे राज़ फ़ाश
जब मिरे लब पर मोहब्बत की कहानी आएगी
ना-मुरादी से कहो मुँह फेर ले अपना ज़रा
मेरी दुनिया में उरूस-ए-कामरानी आएगी
जब ख़िज़ाँ की नज़्र हो जाएगी दुनिया से शबाब
याद 'अख़्तर' ये सितम-आरा जवानी आएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Lab Shayari Shayari