samajhta hoon main sab kuch sirf samjhaana nahin aata | समझता हूँ मैं सब कुछ सिर्फ़ समझाना नहीं आता - Akhtar Ansari

samajhta hoon main sab kuch sirf samjhaana nahin aata
tadpata hoon magar auron ko tadpana nahin aata

ye jamuna ki haseen amwaaj kyun argan bajaati hain
mujhe gaana nahin aata mujhe gaana nahin aata

ye meri zeest khud ik mustaqil toofaan hai akhtar
mujhe in gham ke toofaanon se ghabraana nahin aata

समझता हूँ मैं सब कुछ सिर्फ़ समझाना नहीं आता
तड़पता हूँ मगर औरों को तड़पाना नहीं आता

ये जमुना की हसीं अमवाज क्यूँ अर्गन बजाती हैं
मुझे गाना नहीं आता मुझे गाना नहीं आता

ये मेरी ज़ीस्त ख़ुद इक मुस्तक़िल तूफ़ान है 'अख़्तर'
मुझे इन ग़म के तूफ़ानों से घबराना नहीं आता

- Akhtar Ansari
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari