sholay bharkaao dekhte kya ho | शो'ले भड़काओ देखते क्या हो - Akhtar Ansari

sholay bharkaao dekhte kya ho
jal uthe ghaav dekhte kya ho

gharq-e-khoonaab hone waali hai
dard ki naav dekhte kya ho

dil kisi yaad ne chhua hoga
aage badh jaao dekhte kya ho

anjum-e-charkh-e-fikr-e-aadam ka
chal gaya daav dekhte kya ho

piye baithe hain zahar-e-dauraan ham
jaam uthvaao dekhte kya ho

husn se lo nazar ki bheek akhtar
haath failao dekhte kya ho

शो'ले भड़काओ देखते क्या हो
जल उठे घाव देखते क्या हो

ग़र्क़-ए-ख़ूनाब होने वाली है
दर्द की नाव देखते क्या हो

दिल किसी याद ने छुआ होगा
आगे बढ़ जाओ देखते क्या हो

अंजुम-ए-चर्ख़-ए-फ़िक्र-ए-आदम का
चल गया दाव देखते क्या हो

पिए बैठे हैं ज़हर-ए-दौराँ हम
जाम उठवाओ देखते क्या हो

हुस्न से लो नज़र की भीक 'अख़्तर'
हाथ फैलाओ देखते क्या हो

- Akhtar Ansari
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari